Hum sabhi me ek baccha hota hai,
Na jaane woh kahan sota hai?
Jaag uthta hai woh kabhi kabhi,
Rang uthe zubaan golo se jabhi,
Gol gappo ki ladai me hasta hai woh,
Aur holi ki un rango me basta hai woh.
Jo jalebi ki mithas se khush hota hai,
Hum sabhi me woh baccha hota hai.
Jhule par baith jo sab bhool jata hai,
Maa ki koke me jo chutki me so jata hai,
Aaj bhi doston se masti karta hai,
Aur usi dost ke mummy se darta hai. :P
Diwali ki roshni me jo magn hota hai
Hum sabhi me woh baccha hota hai.
No comments:
Post a Comment
Feel free to comment, leave suggestions or to critic my poems... :)
I would be honoured to hear your take on my poems.. :D