Rahenge milke jab bhai bandhu,
Jab hoga bandh is desh me danga,
Tabhi Lehraunga Garv Se Yeh Tiranga.
Har kisi ke thali me hoga ann - khan,
Jab har sir pe hoga chat, ek makaan,
Jab dhakengi izzat aur na ghumega koi nanga,
Tabhi Lehraunga Garv Se Yeh Tiranga
Hogi tarakki, simaon ko par karenge,
Pichde, shoshit gaanv is desh me na rahenge,
Jab har gali aur chauraha nahi rahega bedhanga,
Tabhi Lehraunga Garv Se Yeh Tiranga
Muskuraega suraj, khil uthenge phool murjhaye,
Khusbu un puspo ki fir fizaon me aaye,
Jab hoga pavitra fir se is desh ki Ganga,
Tabhi Lehraunga Garv Se Yeh Tiranga
-Darsh Dilip Doshi
ek number!!
ReplyDeleteThanks Vishu! :)
ReplyDelete